Aahat kissi ke kadmon ki, ek umeed ki kiran jagaya karti hai,
Durr koi awaaz sunne par, ghungroo ki khan-khan sunai padti hai!!!
Mann daudta hai har chehre ke peeche, kissi kii talaash mein,
Karodon ki bheed hai wahan, fir bhi kissi ki kami khalti rehti hai!!!
Band khidkiyon ke us par, kissi ko paane ka mann karta hai,
Khulte darwazon ko dekh, soti aankhen jaag jaya karti hain,
Aahat kissi ke kadmon ki, ek umeed ki kiran jagaya karti hai!!!
Aate jate is zindagi ke safar mein, har gadi kissi ki lagti hai,
Saath aaj chutta hai hamara,
Lekin kadmon ki aahat wohi manzil ki taraf ishara karti hai,
Aahat kissi ke kadmon ki, ek umeed ki kiran jagaya karti hai!!!
Kissi ke bulane par, har awaaz ussi ki lagti hai,
num khamoshi mein har ehsaas, kissi ki sansein sulgaya karta hai,
dil aaj bhi hai kissi ke paas,
sirf dhadkan idhar sun jaya karti hai,
Aahat kissi ke kadmon ki, ek umeed ki kiran jagaya karti hai!!!