Wednesday, June 11, 2008

Romantic Poem

zindagi ka aangan tha suna,
is mein ek din ek nanhi kali khili,
andhere mein gum patange ko,
jaise door deepak ki roshini mili!!
rishte ki buniyaad thi pyar aur dosti par,
mar mitne ka ehasas tha,
ek dusre ke bina lagta tha dar,
milkar duniya se ladane ka abhas tha!!!
pyar kab junoon banaa, n jaan saka mera mann,
thithurta hai dil voh barish ki boondon se, voh pehli ghta, voh pehli pavan!!!
ishvar kii terah basi hai mann mein,
raat din sirf tera hi khyaal hai,
dukh ke pal badle ja sakte hain kabhi??
mar ne se pahle bas yahi ek swaal hai!!!
mann ne jise chahaa khud se jyada,
vo hii pyar udasii ki salakhon mein bandha hai,
hamesha hansane ka kiya tha jis se vaada,
voh hi chehra sookhe ansuon ki mitti mein dhansa hai,
saath bitaye pal nahin bhoolte,
yaadon kii chhaayien nahin hoti gum,
kahe shabdon kaa nahin koi prayashchit,
aye dost, saf mann kii vaani ko sun!!!
mila tha samudr ka anmol moti,
sunehra patthar samajh kar uss se khel liya,
jis kali ne diya baag ko rang,
us kali ko phoolon mein khilne se rondh diya!!!

3 comments:

A chaotic mind.... said...

Bhai wah!bahut khoob..first time ke hisab se amazing one..
kuch khamiyaan theen..ekto hindi ashudhh!! :))) n ther was some sudden change in the mindset..i mean while i was reading it..i cldnt get the abrupt drastic change in the emotions..i feel thoda sa smooth hona chahiye that change..thats the critic part..but i love the whole idea behind it!! :)
Achala

A chaotic mind.... said...

Its gud dear....really gud...i was not knowing that u can write such a good hindi also.....gud...:))
Monika

ra said...

sahi raghav.......toh now uve steered urself into hindi poetry.....coool......good goin.....and nice poem