Toofan aur barish ki boondein,
Andhere mein sannate ki goonj,
Mitti mein dhas chukka hai bande,
Haasil karne ki bud chukki teri bhook!!!
Maut ko gale lagakar,
Chale they insaan ki khoj mein,
Na rahe ‘Mahatma’, na rahe ‘Pandit’,
Kya maut chupi thi unki soch mein???
Kuch palon se jhujharo hokar,
Mar mitne ko mann karta hai,
Har pal mar raha hai bande,
Bas mann mannne se darta hai!!!
Ek aag thi yuva mein,
Jo aaj vibhuti ban hai hawa mein gum,
Jis hawa mein lete ho sansein, uss hawa ke dard ko sunn!!!
Anant lakshya ki khoj mein,
Chod chukke ho apna ghar,
Jeet ko pa lena chahte ho lekin,
Haarne se lagta hai darr!!!
Veeron ke shehar mein,
kayarta ka ankur hai foota,
insaan ne insaan ko kya,
insaan ne bhagwan ko loota!!!
Utho dikhawe ki kabar se,
Tod do ab jhoot ka chehra,
Karna hai to kuch kar dikhao,
Na hone do parchai ko aur kala, aur gehra!!!
Shaheedon ki smriti,
sardi mein garmahat deti hai,
kyon hai kissi ka haq cheena,
mrit logon ki kevel kheti hai!!!
To be continued….
No comments:
Post a Comment